Humari kahani 🎵
Ek chhote sawaal se shuru hui thi — "gift mein aisa kuch denge jo kisi ke paas pehle se na ho?"
Flowers murjha jaate hain. Cakes khatam ho jaate hain. Perfume bhi ullu ban jaata hai kabhi kabhi. Par ek gaana — jo kisi ke naam par, uski kahaani ke saath bana ho — woh hamesha zinda rehta hai. Yehi soch se Gaana Banana bana.
Humne dekha ki India mein AI bahut tezi se badh raha hai, par sab kuch English mein, complex interfaces ke saath. Aapke mummy-papa, chacha-chachi, mohalle ke Rahul bhai — sabko AI ka fayda nahi mil pa raha tha. Toh humne ek aisa app banaya jo simple Hinglish mein kaam karta hai aur ek hi kaam karta hai — gaana banana.
Aap naam likhiye, mauka chuniye — humara AI (Google ke Lyria music model + modern language models) ek poora gaana bana deta hai, vocals ke saath. Na koi studio chahiye, na music ka knowledge. Bas dil mein baat ho aur ₹28 jeb mein. 😄
Simple rakhna
Har koi bana sake — 18 ki ya 60 ki umar
Deshi pricing
₹28 se shuru — chai-paani ke daam mein
Dil se banaya
India ke liye, India mein banaya
Gaana Banana ek Naman Soni project hai — ek Indian developer jo simple, useful cheezein banana pasand karta hai. Yeh project Zero se shuru hua aur poora India kehta hai: "agar technology se gaana banana itna easy hai, to sabke liye hona chahiye!"